- Forum > YUN BHI HOTA HAI.....
10/29/2009 7:29 PM YUN BHI HOTA HAI..... (49 Comments)
- azad
- 30, Pakistan
YUN BHI HOTA HAI.....
MOHABBAT mein jo gham mila hai"yehi bohat hai"-koi rotay rotay kaih raha hai "yehi bohat hai",,,,agar woh shakhs ab mera nahi to kiya hua?-guzray waqton mein woh mera raha hai "yehi bohat hai",,,,zaroori nahi k us ko bhi yaad aaon`azad`-zindagi guzr rahi hai "yehi bohat hai" sweet poison azadsain
10/30/2009 5:50 PMRe: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
thanx dear.... jisko lainay taajiron ka dasta nikla-biknay aaya to tawaqo say bhi `sasta`nikla,,,apnay seenay mein chhupaey huay teri yaadain-ham pay har shakhs aawazain kasta nikla,,,hamnay har baat bohat soch samajh kar ki hai-bas aik lafz-e-mohabbat tha jo barjasta nikla,,,woh jisnay paon talay kitnay `dil`masal daalay-kall wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla....sweet poison azadsain
11/2/2009 3:18 PMRe: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
mariya
24, mirpur, Pakistan
welcome bro :)
wo apni sari nafratain mujh pe lutata raha
mera dil jis ko sada mohabbatain sikhata raha
us ki adat ka zara ye pehlu to dekho
mujh se kie wade wo kisi or se nibhata raha
kuch khabar nhi wo shaks kya chahta tha
k taluq tor kr b mujh ko azmata raha
tute huy taluq mein b kitni mazbuti hai
mein jitna bhulata rha wo utna hi yad ata rha
wo apni sari nafratain mujh pe lutata raha
mera dil jis ko sada mohabbatain sikhata raha
us ki adat ka zara ye pehlu to dekho
mujh se kie wade wo kisi or se nibhata raha
kuch khabar nhi wo shaks kya chahta tha
k taluq tor kr b mujh ko azmata raha
tute huy taluq mein b kitni mazbuti hai
mein jitna bhulata rha wo utna hi yad ata rha
11/2/2009 5:02 PMRe: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
thanx dear... kahan mumkin tha MAIN dil say teri yaadain mita daita--bhla kaisay main jeeta,agr tujh ko bhula daita,,,teri ruswai k dar say labon ko see liya warna--teray shaihray munaafiq ki MAIN bunyaadain hila daita,,,kia tar-e-wafa uss nay,to hogi uski mujboori---kisay barson dua thi ,azad,nay usay kiya baddua daita,,,khabar hoti agr mujh ko nahi hai tu muqaddar mein--usi lamhay main haathon ki lakeeron ko mita daita...sweet poison azadsain
10/30/2009 5:58 PMRe: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
thank u sir..........ab bhi sha`ir hoon,kisi ki khatir-koi hai jo meray lafz-o-mani ki aankhon say baihtay huay,aansuon mein DARD chunta phiray,khawab bunta phiray,,,kon hai jo meray khoon hotay huay`DIL`ki aawaz par apni aawaz k hont rakhta phiray,,,,kon aankhain meri daikh kar >yeh kahay>kiya hua jan-e-jaan-kab say soay nahi-ISS SAY PAIHLAY TO `AZAD`TUM ITNA ROAY NAHI,AB BHALA KIS LIYE KHOOBSOORAT AANKHAIN PARESHAN HAIN?apni haalat pay khud pareshan hain...kon baichain baitab ho?-mosam-e-hijr ki shaam-e-tanhai mein aabla pai mein kon ho hamsafar?gird-e-raihguzar koi rasta nahi darr pay koi dastak ki gawahi nahi...DIL k veeran-o-barbad par jids qadr lafz likhay thay baikar hain,aik lambi judai k aasar hai..SOCHTA HOON K AB AZAD,IN KHAYALON SAY KHAWABON SAY BAAHIR RAHOON,KIYUN MAIN SHA`IR RAHOON??sweet poson azadsain
11/4/2009 5:45 AMRe: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
WASI
22, Lahore, Pakistan
10/30/2009 5:55 AM so sad
WASI
22, Lahore, Pakistan
kisi roz barish main ghar say nikalna ,,,,,
khizan main giray tootay phoolon pay chalna,,,,,
tapaknain lagay jab darkhton say pani,,,,
tumhain yad ayay gi beeti kahani,,,,,
k jab ham kisi sham tum say milay thay,,,,,
mohabbat k raston pay ham tum chalay thay,,,,,
wo barson k qisay wo batain purani,,,,
tumhain yad ayay gi beeti kahani,,,,,
khizan main giray tootay phoolon pay chalna,,,,,
tapaknain lagay jab darkhton say pani,,,,
tumhain yad ayay gi beeti kahani,,,,,
k jab ham kisi sham tum say milay thay,,,,,
mohabbat k raston pay ham tum chalay thay,,,,,
wo barson k qisay wo batain purani,,,,
tumhain yad ayay gi beeti kahani,,,,,
10/30/2009 6:07 PMRe: so sad
azad
30, Karachi, Pakistan
ab to mumkin hi nahi unsay mulaqat `wasi`,ab to urooj pay pohunchi hai us ki zaat `wasi`,,,wohi waaday hain or rasmon ki zanjeerain baqi-kab badalti hain zamanay ki riwayaat `wasi`,,,aik wo din thhay k aik doosray ko sochtay thhay ham-ab miltay nahi dono k khayalat `wasi`,,,teri yadon mein kati meri har aik raat `wasi`,,,tum kahan or meray PIYAR ka mayar kahan?-WOH KITNI SAADGI SAY KAR GAYA YEH BAAT `WASI`....sweet poison azadsain
10/30/2009 5:58 AM dil toot bhi jata hai
WASI
22, Lahore, Pakistan
khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata hai…
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai…
khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein…
warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai…
to hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaan…
gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai…
ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai…
khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein…
warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai…
to hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaan…
gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai…
10/30/2009 6:19 PMRe: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
meri aarzu hai tujh ko milay hamsafar koi aisa-teray faasalay samaitay tujhay dhoop say bachaey,,,,(yeh udasiyon ki shaamain jo guzr sakain na tanha-teray paas aa k baithay tujhay rotay mein hansaey),,,kabhi bhool kar bhi tujh ko jo yaad aana chaahay-tujhay itna piyar day k tujhay yaad kuch na aaey....sweet poison azadsain
11/1/2009 5:08 PMRe: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
jaisay chahtay thhay ham,woh bhi hamain chahtay to kiya baat hoti,,,paanay ka arman to tha bin maangay mil jaatay to kiya baat hoti,,,iss dil mein piyar tha kitna,woh jaan laitay to kiya baat hoti,,,hamnay manga tha `unhain`"khuda"say,woh bhi maang laitay to kiya baat hoti...sweet poison azadsain
11/2/2009 6:05 AMRe: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
Takhleeq-e-Kainat ki yeh Reet bari niraali hai,
Jo ho na sakay Apna Dil Muhabat b Ussi se karta Hai..
Jo ho na sakay Apna Dil Muhabat b Ussi se karta Hai..
11/2/2009 4:51 PMRe: Re: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
meri aankhain salamat hain-mera dil meray seenay mein dharkta hai,,MUJHAY MAIHSOOS HOTA HAI-MOHABBAT KAM NAHI HOGI,,,mohabbat aik wada hai-jo sachai ki an,daikhi kisi sa,at mein hota hai-kisi raahat mein hota hai,yeh wada sha,iri ban kar meray jazbon mein dhalta hai-MUJHAY MAIHSOON HOTA HAI-MOHABBAT KAM NAHI HOGI..mohabbat aik suhana mosam hai-jis mein khuwab ugtay hain,to khuwabon ki hari shaakhain,gulabon ko bulaati hain,,yeh khushbu jab hamari khirkiyun par dastakain day kar guzarti hai-MUJHAY MAIHSOOS HOTA HAI,MOHABBAT KAM NAHI HOGI--sweet poison azadsain
Reply to this Thread
10/30/2009 6:14 PMRe: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
kaisay bhool gaya wo sath guzray huay din?,lagta nahi tha jis ka dil meray bin....doston say kaha karta tha woh bhi-kiya yeh bhi ji paega meray bin,,,,mazaq ban jaya karta tha wo doston mein-khud ko tanha samajhta tha `meray` bin,,,usay had-e-deewangi kahoon ya,paaglpan-tasweer mein woh baatain kia karta tha `meray` bin,,,woh mosmon k badlnay say darta nahi tha-par baharon mein murjha jaya karta tha `meray`bin,,,(AB AAS TOOT GAYE US KAY AANAY KI-LAGTA HAI `WOH` JEENA SEEKH GAYA HAI `AZAD`BIN)...sweet poison azadsain
11/1/2009 5:19 PMRe: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
(TUM SAY MILNAY KA BAHANA)>>>>>>>>>.................NIGAHON kay samandar ka thikana chaahtay hain ham,,HAMAIN TUM say mohabbat hai batana chahtay hain ham,,,,,,HAMAIN ai nahi lagti kisi mosam ki shadabi,,TUMHAIN bas apni saanson mein basana chahtay hain ham,,,,,,,,HAMARA ghar to roshan hai AZAD k naam say laikin,,TUMHARAY naam say jeevan sajana chahtay hain ham,,,,,,,,,HAMAIN har haal mein TUM say AQEEDAT or MOHABBAT hai>>>>TUMHARAY PASS AANAY KA BAHANA CHAHTAY HAIN HAM<<<<
11/2/2009 4:44 PMRe: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
nahi yar abhi nahi............khuwabon ki daihleez par sona achha lagta hai-kuchh lamhon ko uska hona achha lagta hai,,,khail khail mein jeevan bhar k dukh mit jaatay hain-kho kar pana,pa kar khona achha lagta hai,,,dil waalon ko daikh k wo aisay khush hota hai-bachay ko jis tarha khilona achha lagta hai,,,hijr ka mosam ho or koi aas na baaqi ho-palkon mein tab ashk pirona achha lagta hai,,,(kabhi kabhi DIL bhar aata hai-kabhi kabhi moonh phair k rona achha lagta hai)sweet poisoin azadsain
11/2/2009 6:09 PMRe: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
yeh aap k liay.........(bohat hi maan hai `tum` par suno hamhain-tum aankhon mein "saja" rakhna paas-e-wafa rakhna-sabhi say tum milo "laikin" zra sa faasla rakhna)....bichharna bhi to parta hai-zra sa `hosla`rakhna,,,(wo saaray wasal k lamhain-tum aankhon mein saja rakhna,abhi imkaan hai-abhi lab pay "dua"rakhna,bohat nayaab hain daikho-hamain sab say juda rakhna)....sweet poison azadsain
11/3/2009 7:07 PMRe: Re: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
♥k.k♥
18, Pakistan
YE BE FANTASTIC HAI BHAI JAN ,,,,,,,KAHA SE LATAY HOOO YARA KAHI COPY PAST TU NAHI KARTAY :p
11/4/2009 6:26 PMRe: Re: Re: Re: Re: Re: Re: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
kash wo guzri shaam aa jaey-teri dharkano pay mera `naam` aa jaey....mera dil tarapta hai tujh say milnay ko-"kash"teray dar say koi paigham aa jaey....tumhari yaad mein tumharay sapnay daikh kar-kuchh nahi to "dil"ko aaram aa jaey....(dost say dost "juda na ho umar-bhar--"kash"koi aisa `nizam`aa jaey)sweet poison azadsain
Reply to this Thread
11/3/2009 6:11 PMRe: Re: YUN BHI HOTA HAI.....
azad
30, Karachi, Pakistan
no thanx brother..........kisi k saath guzray pall bary rangeen hotay hain,,mohabbat k yeh roz-o-shab bary haseen hotay hain,,,,,ISHQ karna hai to ,paihly BIKHARNY ka hunar seekho,,ISHQ mein haadsay aksr sangeen hotay hain,,,,kabhi fursat mein aa k daikh iss veeran say ghar mein>>kisi ki yaad mein ham bhi bary GHAMGEEN hotay hain...sweet poison azadsain











10/30/2009 4:34 PMRe: YUN BHI HOTA HAI.....